Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.
Crime Stories by Delhi Press, Season 14 cover art

Crime Stories by Delhi Press, Season 14

By: Delhi Press
Narrated by: Hemant Saini
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
Episodes
  • इश्क की आग में बरबाद हुआ परिवार
    Aug 4 2022
    Lakshmi ne police mein shikayat darj karwaayi ki uska pati Pravasram do din se kaam se ghar nahin lauta tha. Lakshmi ke saath 22 saal ka Sonu bhi tha jisne bataaya ki asal mein Pravasram do din se kaam par aaya hi nahin tha. Do din baad police ko ek naale mein uski laash mili. Ab yeh maamla hatya ka tha. Kya uski kisi se dushmani thi? Police ko uski patni par hi shaq hua, lekin iski wajah kya ho sakti thi?
    Show More Show Less
    12 mins
  • जब चढ़ा प्यार का नशा : नाजायज संबंधों की राह
    Aug 4 2022
    Kusum ki beti ki shaadi thi. Ek rasam mein unhe kayi gharon se paani bhar ke laana tha. Vah apni ek rishtedaar Narayani Devi ke ghar gayi. Wahan darwaaza khula mila aur Narayani ka 40 saal ka beta Anoop zameen par pada mila. Wahan andar Narayani Devi bhi padi huyi thi. Unn dono ke gale par vaar kiya gaya tha. Anoop ki patni Meenakshi aur uske bachche bhi behosh pade mile. Aakhir uss parivaar par kisne hamla kiya tha aur kyun?
    Show More Show Less
    21 mins
  • जीजा से जब लड़े नैन
    Aug 4 2022
    Sanjeev jal board mein kaam karta tha. Uski patni Anju uski har baat maanti thi lekin phir bhi use aisa lagta tha ki vah usse pehle jaisa pyar nahin karti thi. Use yeh bhi pata chala ki jab vah ghar par nahin hota toh Anju bahar ghoomti thi. Unke beech jhagde hone lage aur ek din Anju ghar se bhaag gayi. Sanjeev ko iss baat ki khabar mili ki Anju ke sambandh Raju se ban gaye the. Kya Sanjeev ki maarpeet ki wajah se usne apni patni kho di thi?
    Show More Show Less
    6 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 14

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.